जवान औरत-Jawaan Aurat Shayari
Jawaan aurat main bani,
yeh tan, yeh dheh kaya aisi nikhari..
Ki jaa ke kahan mein chippu,
Sankuchai si ki kaise teer drashti se bachun,
Mano mere tan nagn,
Kaise swem ko surakshit mein rakhun?
Geedar samaan jaise mujhe woh ankhon se nochen..
Kya maine kiya koi apraadh..
Kyun mein iss apraadhbodh sang jeevan rachun?
Jo bachpan beeta laga mujhe
Ab nayi srashti mere angne pankh phelayegi..
Par maalum naa tha ki krur satya bhi saath layegi
Jaise lage ki har pal ek yudh ho
Aur nayan mere Yoddha evam
Har uss totalti drashti ke wo avruddh ho
Yeh kaisi vyatha ghir aayi
Abhi toh bachpan langha ..fir
Kyun ankahi duvidha maine payi
Kya mein Jawaan Aurat mein bani …
Aur mujhpe ye dandatmak karyewahi???????
Source : ikshayar.com









