Dard e Dil Seene mein Chupa do !
Haal E Dil Jo Bhi Ho,
Auro Ke Liye Muskura Do,
Dar E Dil Na Kisi Dil Ko Dard De,
Dard E Dil Ko Dil Mein Hi Chhupa Lo,
Ha Tum To Roj He Muh Phira Lete Ho,
Kabhi Yaar Mere Jara Muskura Do,
Chahte Hai Ham Ke Mare Tere Saamne,
Kam Se Kam Tera Aakhiri Karm To Ho,
Maalum Hai Mujhe Tum Bhala Na Kahoge,
Chalo To Phir Kuchh Gaaliya He De Do.
Dard e Dil Shayari by “Khumaar”
kahan dard-e-dil dard se nashaad hota hai
dard had se guzre tabhi dil shaad hota hai
thhare hue ashqon ki rangat na poochiye
har qatra hamesha taaza azaab hota hai
hai to asaan apni aakhon ko nam rakhna
par khud se hi kia vaada kharaab hota hai
dard ke kum ya zyada ki tamanna kaun kare ‘kaash’
ye vo shay hai jo khud-b-khud aabaad hota hai
One below is by “RajanSarhadi”
Dard-e-dil ki dawa naa ho jaaye,
Zindagi bemazaa na ho jaaye.
Zikra Chhedo na tum bahaaron ka,
Zakhm dil ka hara na ho jaaye.
Aa raha hai maza tadapne mein,
Un ka waada wafa na ho jaaye.
Poojatein hain jise wahi ik din,
Hote hote khuda na ho jaaye.
Ho ke tumse juda ae “rajan”,
Zindagaani sazaa na ho jaaye.