‘Dard-e-Ishq’
Bewafai tu yun kar…
Teri Judai Main Dil Bekarar Na Karu,
Tu Hukum De To Tera Intezaar Na Karu,
Bewafai Karni Ho To Is Kadar Kar,
Tere Baad Main Kisi Se Pyaar Na Karu………!!
Submitted by : Dharmesh
Submitted by Dharmesh-Yun Pee gaye !
Gam is kadar mila ki ghabra ke pi gaye, khushi thodisi
mili to milaa ke pi gaye,yun to na thi janam se pine
ki adat,Sharab ko tanha dekha to taras kha ke pigaye
Judai ki rishwat-Dard Judai Small Shayari
Is duniya mein sab kuchh bikta hai,
phir judai hi rishwat kyun nahi leti,
Marta nahi hai koi kisi se juda hokar,
Bus yaadein hi hai jo jeene nahi deti.
Tere Jaane Ke Baad
Submitted by : Vijay Kumar Singh
Kaun aayega mere dar par tere jane ke bad….?
Kaya rah jayega meri jindgi main tujhe khone ke bad..?
Dil tere entejaar mai tarpayega hamen…
Tera chera bar-bar yaad aayega hamen….
Dard-Tutna jaane se
Bahut udaasss hai koi tere jaane say,
ho sake to laut aa kisi bahane say,
tu lakh khafa sahi magar ek baar to aakar dekh,
KIiiii
Koi tut gaya hai tere jane sayyy….
Submitted by : Vicky
Pyar ki Shayari ex-girlfriend k liye
Aapse milne ki tammana he.
Miti si boli ko sun-na he.
Lambi drive pe car me sang chalna he
Halke se galonko chumna he..
Aur bahut kuch chahta ye nandan dil, par hakikat yahi he ke isko aab sirf jalna he………
Submitted by Yogesh: Bhulane ki kasam
humne ne manga tha saath unka woh judai ka gam degae.
hum yaado ke sahare ji lete woh bhulne ki kasam degae
Submitted by : Yogesh
Ansuon mein hame paoege | Achchi Shayari
unkliye jab humne bhatkna chhod diya,
yad me unki jab tdpna chhod diya,
wo roye bahot akar tab humare pas,
jab humare dil ne dhadkna chhod diya
woh roye tab.. Wah shayari
unkliye jab humne bhatkna chhod diya,
yad me unki jab tdpna chhod diya,
wo roye bahot akar tab humare pas,
jab humare dil ne dhadkna chhod diya
Kaash woh Pal- Judai and Jadai shayari dard
kaash wo pal sang bitaaye na hote,
jinko yaaad kar aaj ye aansu aaye na hote,
khuda ko agar is tarah door le jaana hi tha,
to itni gahraayi se dil milaaye na hote…..
Submitted by : Paras Gupta







